Insaan ki zindagi mein kuch logo ki aihmiyat sabse jyaada rehti hain. Jinki aihmiyat zindagi mein sabse jyaada rehti hain insaan pyaar bhi unhe hi sabse jyaada karta. Ek insaan k jivan mein sabse jyaada aihmiyat rakhti hain uski family. Kaha jaata hain duniya mein sablog ek na ek din saath chorr dete hain pr ek parivaar hi hota hain joo kabhi saath nhi chorta. Yeh story bhi aisi hi ek insaan ki hain jiski family hi uske liye sab hain.
Introduction
Pratap Singh Rajput- Yeh hain apne hero kaa dadaji. Apne zamane mein kushti champion the. Achhe achho koo akhade mein pachaad chuke hain. pr family business sambhalne k liye inhe kushti chorni padhi. pr shauk abhi bhi hain. ghr mein sabse bade hain. Inhone apni puri jaydaat koo apne bachho mein baat diya hain. Inka ek bahot hi gehra raaj hain jiske baare mein keval(only) or keval(only) inke bade bete or bahu koo hi pata hain.
Vikram Singh Rajput- Yeh hain apne hero kaa papa. Apne parivaar se bahot pyaar hain pr saath mein business se bhi bahot pyaar hain. Inki 2 shaadiyan hui thi. Pehli patni ek accident mein marr jaati hain. Jiske baad inhone ek or shaadi ki hain. Pehli patni kaa naam Rashmi thaa.
Shalini Singh Rajput- Yeh hain Vikram ki dusri patni. Inka nature bahot hi caring hain. ghr k saath saath business bhi sambhalti hain. Yeh bahot hi khushmizaaz orat hain or har pareshani kaa datt k saamna karti hain. Inhe keval(only) or keval(only) ek hi chiz pareshan karti hain or yeh chah k bhi uss pareshani koo thik nhi kr sakti. Yeh apne bachho se bahot pyaar karti hain.
Ishita Singh Rajput- Yeh Vikram or Shalini ki ek lauti beti. Thodi bewkoof hain. ammi dad k laad pyaar mein thodi bigad gayi hain. colz k 1st year mein hain.
Mahira Singh Rajput- Yeh Vikram or Rashmi ki beti hain. hardiya(heart) ki achhi hain. Yeh colz k 2nd year mein hain. Parivaar mein sabki pratishta(reputation) karti hain.
Shekhar Singh Rajput- Yeh hain Pratap Singh kaa dusra beta. Apne bhai k saath business chalata hain. Isse apne pita or bhai k raaz k baare mein kuch bhi nhi pata hain. Thoda lalchi kisam kaa insaan hain.
Vidya Singh Rajput- Yeh Shekhar ki patni hain. hardiya(heart) ki bahot achhi hain. Isse apne sasur or jeth k raaz k baare mein pura toh nhi pr kuch kuch pata hain.
Vicky Singh Rajput- Yeh Shekhar or Vidya kaa beta hain. Chup chaap rehne wala ladka hain. Apne hi mast rehta hain. colz k 2nd year mein hain.
Rajput Group of Companies Pratap Singh ki kadi mehnat kaa natija hain. Inhone is company ki neev apne pita k sang rakhi thi. Uss wakt pe yeh ek choti si company huaa karti thi jisme mushkil se 40 log kam karte the. pr aaj is company mein 4000 se bhi jyaada log kam karte hain. is company ki puri jimmedaari pahle Pratap Singh k haatho mein thi pr fir inhone saari jimmedaari apne beto koo de di jise ab woh sambhalte hain. Delhi mein inka ghr hain jaha sablog ek saath rehte hain.
Update 1
Mumbai k bahari illake mein kuch log khade cigarette pi rahe the. Halki halki thand thi fir bhi sabke maathe mein paseena thaa or chehre pe ek darr bhi thaa. Wohlog baar baar idher udher dekh rahe the jaise kisi k aane kaa intezaar kr rahe hoo. Abhi unko waha khade kuch hi wakt huaa thaa k tabhi waha unhe 2 gaadiyaan aate hue dikhti hain. Woh dono gaadiyan ekdum unke saamne aake khadi hojaati hain.
Dono gaadiyon mein se 2 aadmi utarte hain or waha khade logo k paas aate hain or unhe ek bag pakda dete hain.
Aadmi 1 – Unhe kehna aaj tak kaa sara hisaab clear hochuka hain. or ab humhe contact naa kare.
Aadmi 2 – Agar humhe kisi chiz ki jarurat hui toh hum khud contact karenge. Jab tak woh pakda nhi jaata ya maara nhi jaata humhe kisi bhi tarah se contact naa kare.
Iske baad woh dono aadmi waha se fatafat nikal jaate hain. Unke nikalte hi baaki k log bhi waha se jaldi jaldi nikal jaate hain.
Agli subah Mumbai k City colz mein ek ladki apne group k saath canteen mein baithi thi pr uska dhyan apne group k bahar hi thaa.
Ladki(man mein) – Aaj colz kaa last day hain. Aaj ussko bolna hi hoga. Pure 2 year intezaar kiya hain mene. Aaj usse maira intezaar khatam karna hi hoga. Aaj ussko muze apnana hi hoga.
Woh ladki apni soch mein hi ghum thi k tabhi uske paas mein baithe uske mitr usse uski soch se bahar laate hain.
mitr 1 – Kya soch rahi hain itne derr se.
mitr 2 – Haa. Kuch socha hain tune ab aage kyaa karna hain. colz toh aaj khatam.
Ladki – Abhi mene kuch nhi socha hain. pr jald hi kuch soch lungi. Tumlog apna batao.
mitr 3 – mai toh higher studies k liye bahar jaa raha hu.
mitr 4 – mai bhi bahar hi jaa rahi hu.
mitr 1 - maira bhi kuch aisa hi plan hain. Agar result achha aaya toh bahar jaaungi warna yehi k kisi colz mein admission le lungi.
Abhi yehlog or kuch bolte tabhi woh ladki jhatt se apni jagah se uth jaati hain or canteen k bahar ki taraf jaane lagti hain. Uske uthte hi uske mitr usse puchne lagte hain pr woh koi jawaab diye bina hi bahar ki taraf nikal jaati hain.
Woh ladki canteen se bahar nikal k sidha parking ki taraf jaati hain or ek bike k saamne khadi hojaati hain.
Ladki – muze jawaab chahiye or abhi chahiye.
Ladka – Mere paas tumhare kisi sawaal kaa jawaab nhi hain. or waise bhi mene tumhe pahle bol diya hain.
Ladki – Tum mere saath aisa kyo kr rahe hain. Tum achhe se jaante hoo mai tumse kitna pyaar karti hu. or mai yeh bhi janti hu tum bhi mujhse utna hi pyaar karte hoo.
Ladka – mai tumse pyaar nhi karta yeh baat mene tumhe pahle bhi bahot baar bola hain fir kyo baar baar yeh baat bolti hoo.
Ladki – Jhoot. Tum jhoot bol rahe hoo. Tumhari aankho mein muze mere liye saaf pyaar nazar aata hain.
Ladka – Galatfehmi hain. mai aaj yeh aakhri baar keh raha hu. muze bhool jao or apni life mein aage badho. Yeh bol woh ladka waha se jaane lagta hain.
Ladki – Jaate jaate meri bhi ek baat sunlo. mene tumse sachhe man se pyaar kiya hain. mai tumhara intezaar karti rahungi. or agar maira pyaar sachha hain toh muze mere intezaar kaa fal milega or woh fal muze tum doge. mai marr jaungi pr tumhare alawa kabhi kisi or ki nhi houngi.
Woh ladka yeh sab sunn k waha se nikal jaata hain. Ladki ladke koo jaate dekhti rehti hain. Uske aankho se aansu nikal rahe hote hain.
Ladki – Agar maira pyaar sachha hain or mene keval(only) tumse pyaar kiya hain toh ekdin tum khud apne pyaar kaa izhaar mere saamne karoge.
Iske baad woh ladki bhi waha se chali jaati hain.
Delhi k ek bahot bade ghr k mandir mein ek orat subah subah bhagwan k saamne haath jode khadi thi. Aankhon mein thode aansu the. Tabhi pichhe se ek awaaz aati hain. Subah subah bhagwan se kyaa maanga jaa raha hain.
orat – Bina pichhe mude. Aap jaante hain. mai hardin bhagwan se kyaa maangti hu. Inhone muze har khushi di. Har sukh diya. bss usse durr kardiya.
Aadmi – Tum achhe se jaanti hoo shalini beta agar woh yaha rehta toh saayad hum usse kabhi nhi dekh paate.
Shalini – Kab tak. Aakhir kab tak pitaji. Kab tak.
Pratap – Pata nhi.
Iske aage shalini or kuch nhi bolti. Usse hardin yehi jawaab sunne koo milta thaa. Woh bhagwaan k saamne ekbaar phirse haath jodh k mandir se bahar aati hain or Pratap k wheel chair koo hall mein dining table k paas le jaati hain.
Pratap – Apne chehre se yeh dukh or dard hata do Shalini.
Shalini – Aap chinta mat kijiye. 10 saalon se woh raaz seene mein dafan hain aage bhi dafan hi rahega. or saayad woh raaz mere saath hi dafan bhi hojayega.
Yeh bol woh apni aankhon se aansu pochti hain or chehre pe ek sajawati muskurahat laake kitchen mein chali jaati hain.