Introduction
Savitri Kapoor(Dadi)- Yeh hain apne hero ki dadi. ghr ki sabse senior member. Inki baat ghr mein koi nhi taalta. ghr mein sab inka samman karte hain. Inke sohar ki death kuch year pahle hochuki hain natural tarike se. Apne sabhi pote potiyon se bahot pyaar karti hain.
Inke 2 bete hain.
Aaryan Kapoor(Bade Papa)- Yeh apne hero k pita k bade bhai hain. Bahot hi suljhe hue insaan hain. Apne parivaar se bahot pyaar karte hain. Apne bhai k saath hi business karte hain.
Ragini Kapoor(Badi maa)- Yeh apne hero ki badi maa. Thodi mazakiya kisam ki orat hain. Apne hero koo apni devrani kaa nhi khud kaa beta maanti hain. Apna hero bhi apni ammi se jyaada inke paas raha hain.
Inka 1 beta hain jiski shaadi hochuki hain.
Karan Kapoor- Yeh ghr kaa bada beta. Ek imaandaar IPS officer. Bachpan se hi police banne kaa shauk thaa. colz k baad usi shauk koo pura kiya. colz mein hi ek ladki se pyaar hogya thaa. IPS banne k baad inhone shaadi karli hain. Abhi bss 6 mahine hi hue hain. Apne sabhi bhai behen se bahot pyaar karta hain.
Nandini Kapoor: Karan ki patni. ghr ki badi bahu. Bahot hi pyaari hain. ghr mein sabka man behla k rakhti hain. Apne se bado kaa aadar samaan karti hain. or choto se pyaar karti hain. Ek housewife hain. Inko or Karan koo milane mein Ramesh k saath ek shaks ne bahot saath diya thaa.
Ashok Kapoor(Papa)- Yeh hain apne hero k papa. Mumbai k ek jaane maane businessman. ayese toh yehlog Rajasthan k Jaipur se belong karte hain. pr pichle 18 year se yehlog Mumbai mein hi rehte hain.
Smita Kapoor- Yeh apne hero ki maa hain. Ek housewife hain. Apne sabhi bachho se bahot pyaar karti hain. Hero mein toh inki jaan basti hain. Jab tak woh khaana naa khaale yeh khaana nahee khaati.
Inke 3 bachhe hain.
Shruti Kapoor- Yeh hero ki badi behen hain. Apne hero se 2 year badi hain. Apne chote bhai beheno se bahot pyaar karti hain. Khaash kr apne hero se. Apni bhabhi se bahot masti karti hain bilkul best friend k jaise. Shaadi tay hochuki hain inke hi pasand k ladke se. colz love hain. Filhal ghr mein hi jyaada se jyaada wakt spend karti hain.
Aarav Kapoor- Yeh apne hero kaa chota bhai hain. Hero koo apna role model maanta hain. Usi ki tarah banna chahta hain. colz complete hochuka hain. Apne daddy ki company hi join ki hain lekin hero abhi isko kaam karne nhi deta. Kehta hain aage chalke sab tumhe hi dekhna hain pr abhi life koo enjoy karo. pr yeh bhi kabhi kabhi office jaata hain.
Raj Kapoor(Hero)- Yeh hain apni story kaa hero. ghr mein sabka laadla. ghr k har member koo ispe naaz hain. Jyaada bolta nhi hain. bss kaam se hi kaam rakhta hain. Apni maa se thoda naraz hain isiliye unse filhal baat nhi karta. Reason aage pata chalega. Apne daddy or bade papa ki company sambhalta hain. Ashok or Aaryan ne bhi company ki jimmedaari isko hi de rakhi hain. Isiliye woh bhi jyaada tar ghr mein rehte hain.
Yash Roy- Yeh Ramesh kaa best friend cum bhai hain. Ramesh k saath uski company mein hi kaam karta hain. Yeh Ramesh koo apna saga bhai hi maanta hain. Iske liye kuch bhi karde. Ramesh and family k mumbai shift hone k baad se yeh saath hain. Saath school saath colz or ab saath mein career. Iske bade bhai k saath hi Shruti ki shaadi horahi hain.
Ishant Roy- Yash kaa bada bhai or Shruti kaa hone wala sohar. Yeh or Shruti mumbai mein shift hone k baad se saath hain pr pyaar colz mein jaakar huaa. Kuch year pahle inke parents chardhaam ki yatra pe gaye the jaha ek accident mein inki death hogyi. tab se apne papa kaa business yehi sambhalta hain. Yash chahta toh apna family business join kr sakta thaa. pr isne Ramesh kaa saath chuna.
Ishita Roy- Ishant or Yash ki choti behen. Yeh apne bade bhai ki madad karti hain business mein. Padhai khatam hochuki hain. Bahot jyaada chulbuli hain. pr bahot pyaari hain. Yash se jyaada yeh Ramesh koo maanti hain. pr isse Yash koo koi shikayat nhi hain.
Mumbai sehar. vatan ki mayanagri. Bahot se log alag alag sapne lekar is sehar mein aate hain. Kuch k sapne pure hote hain toh kuch k adhoore reh jaate hain. or ayese hi ek sapna leke 2 bhai is sehar mein aaye the or unhone ek company shuruaat ki joo aaj Kapoor Group of Companies mumbai sehar ki jaani maani company ban chuki hain.
Bahot saari companies is company k saath tie up karna chahti hain. is company ki suruaat ki thi Ashok or uske bhai Aaryan ne milke. Dono ki mehnat k bal pe aaj yeh company is mukaam mein hain. Yeh kehna wrong nhi hoga is company koo is mukaam mein laane kaa jyaade se jyaada credit Ashok k bhai Aaryan koo jaata hain pr kuch year baad is company koo or aage badhaya Ramesh ne. Ashok or Aaryan ne bss uske decision koo support kiya or uska backbone bane.
Update 1
Thand k mausam thaa. pr is time bhi jorr se baarish horahi thi. Kapoor Group Of Companies mein ek cabin k window mein ek ladka khada hoke baarish ki boondo koo mehsoos kr raha thaa. Jaise woh isme sama jaana chahta hoo. Woh apni aankhe band karke is pal koo apni rooh mein utar raha thaa. pr is time uski band aankho se bhi aansu beh rahe the.
Tabhi uss cabin k darwaja se koi andar aata hain or pure cabin mein nazar ghumata hain toh window k paas kisiko khada paata hain. Toh woh bhi window k paas chala jaata hain.
Ladka1: Aaj kitni joro ki baarish horahi hain naa. or mausam bhi kitna suhana hain. or ayese mausam mein kaun kaam karega.
is ladke ki baat sunke dusra ladka kuch nhi bolta woh waise hi aankhe band k khada thaa.
Ladka1 dekhta hain dusray ladke ki aankh mein aansu hain toh woh samaj jaata hain woh dukhi hain or uske dukh kaa reason kya hain.
Ladka1: Tu fir se roh raha hain. tuze kitni baar kaha hain mat roya kr.
Ladka2: tuze yaad hain jab jab baarish hoti thi woh kese khushi se naach uthti thi. Jaise yeh baarish uske liye hi hoti thi.
Ladka1: Haa pata hain. Baarish mein bhigna usko bahot pasand thaa.
Ladka2: pr aaj baarish toh hain pr woh nhi hain. Yeh bolte hue uss ladke ki aankho se or jyaada aansu beh jaate hain.
Ladka1: Mat ro mitr. Mat ro. Tu usme kuch nhi karsakta thaa. or tuze yaad hain naa usne aakhri baar kya kaha thaa.
Ladka2 jab yeh baat sunta hain toh usko kuch yaad aata hain or woh apne aansu poch leta hain or aankhe kholta hain.
Ladka2: muze yaad hain. Uski kahin har ek baat muze yaad hain. or jisne kahin thi woh bhi yaad hain.
Ladka1: Toh tu kyo ro raha hain. tuze ayese rote dekh kr usko bhi takleef horahi hongi. Kya tu usse takleef dega.
Ladka2: mai kese usse takleef de sakta hu. Usko takleef dene k baare mein toh mai sapne mein bhi nhi soch sakta. pr woh muze joo ayese akela chorr k chali gayi. Chorr gayi muze akele jeene k liye.
Ladka1: Kya tu rokk sakta thaa woh. Nhi naa. Tu nhi rokk sakta thaa woh.
Ladka2 kuch nhi bolta bss fir se aankhe band karke kisiko yaad karne lagta hain.
Ladka1: Bhul jaa usse or apni life mein ab aage badh. or usne bhi toh yehi kaha thaa naa tujhse.
Ladka2: mai chahke k usee nhi bhula sakta Yash. Nhi bhula sakta.
Yeh dono ladke Yash or Ramesh hi hain.
Yash: Rajjj. Kab tak aakhir kab takk tu ayese rahega. Uske jaane k baad toh jaise tumhari zindagi thamm si gayi hain. Tu zinda toh hain tujh mein jaise jaan hi nhi bachi hain.
Raj: mai zinda hu toh keval(only) uske kehne ki wajah se. Usne jaate jaate meri zindagi apni jaan bhi legayi hain.
Yash: Aakhir kab tak aisa chalega Ramesh 3 year se dekh raha hu. Tu keval(only) apni family k liye jee raha hain. Tu woh Ramesh nhi hain joo colz mein huaa thaa.
Raj: Woh Ramesh ussi din margaya thaa jisdin woh gayi thi.
Yeh bol Ramesh aake apne desk mein baith jaata hain or kaam karne lagta hain.
Yash iske aage kuch nhi bol saka woh bss Ramesh koo dekhta hi raha.
Yash(man mein): Heyy bhagwaan. Please Ramesh koo pahle jaisa kardo nhi dekhi jaati uski aisi sthithi(condition). Uske baad toh isne jeena hi chorr diya hain. Pleaseee isko wapas jeena sikha do.
Raj: Ab waha pe khada rehna hain yaa kaam bhi karna hain.
Yash kuch nhi bolta jaake uske saamne baith jaata hain or kaam karne lagta hain.
Rajasthan Raja Maharajao kaa sthan. is rajya mein bahot se Raja Maharajao ne raaj kiya hain. or isi rajya kaa ek khubsoorat sehar Jaipur jise Pink City bhi kaha jaata hain. Kaha jaata hain k 1876 mein Rajasthan k Maharaja Maharaj Sawai Ram Singh ne Queen Victoria k pati Prince Albert jab India tour mein aaye the tab unko khush karne k liye pure Jaipur koo pink colour se rangwaya thaa isiliye Jaipur koo Pink City kaha jaata hain.
Toh issi khubsoorat sehar k ek ghr mein ek ladki joo dikhne mein 22 se 23 year ki hongi woh apne dressing table k saamne baithke taiyaar horahi thi. Uske masoom or khubsoorat se chehre pe ek darr thaa. or isi darr k wajah se woh kuch soche jaa rahi thi. Tabhi uske kamare(room) mein ek ladki enter karti hain.
Ladki1: Tu abhi tak ready nhi hui. Kitna wakt lagayegi.
Ladk2 kuch nhi bolti bss soche jaarahi thi.
Ladki1: Kitna sochegi. Itna mat soch. Sab achha hi hoga. or itna tension lene se kya joo tere bhagya mein hain woh badal jayega nhi naa.
Ladki2: Agar kuch garbar hogyi toh.
Ladki1: Kuch nhi hoga. muze pata hain meri behen bahot hoshiyaar hain. Chal ab jaldi se neeche aa or breakfast karle.
Ladki2: Chaliye.
fir dono ladkiyan neeche aati hain. Jaha pahle se hi unke parents baithe the.
orat: Kitna wakt lagati hoo tumdono. Pura breakfast thanda hogya.
Ladki1: muze nhi isse boliye. Kitna tension kr rahi thi. Isse samjhane mein late hogya.
orat: Ab tension karke kya hoga. joo hoga woh dekha jayega. Tumne jitni mehnat ki hain tumhe uske hisaab se fal milega. Isiliye ab tension choro or baitho.
Dono ladkiyan jaake baith jaati hain.
Aadmi: Humhe 1 hafte baad Mumbai jaana hain.
Ladki1: Kisliye Papa.
Aadmi: Shruti ki engagement hain. Toh humhe jaana hoga.
Ladki2: Whattttt. Shruti Di ki engagement fix hogyi.
orat: Haaa. Ab ghr mein sabse badi hain woh or ek na ek din toh yeh karna hi thaa unhe. Ladka bhi jaan pehchan kaa hain. Smita keh rahi thi unke mumbai mein shift hone k baad woh unke padoshi the.
Ladki1: Yaani Arrange Marriage horahi hain Shruti di ki.
orat: Nhiii. Dono padoshi the. Saath school kiya or saath colz gaye jaha unhe pyaar huaa or ab shaadi.
Ladki2: How Sweet. Waise kese hain wohlog.
orat: Sab thik hain woh log. Bachho k colz khatam hogye hain. Aarav ne abhi kaam karna shuruaat nhi kiya hain. Ramesh hi sab dekhta hain.
Ladki2: Rajjjjj. Hmm. Bahot year hogye unse milee hue. Ab toh bahot badal gaye honge woh.
Aadmi: Achha chalo ab jaldi se breakfast karo. Swati tum office aarahi hoo.
Swati: Yes Papa.
Aadmi: Meera yeh Samar kaha hain. Abhi tak so raha hain kyaa.
Tabhi ek awaaz aati hain.
No Papa. I am here. Sab uss awaaz kaa pichha karte hain toh dekhte hain Samar khada hain ready hoke.
Meera: Badi jaldi aagaya. Aaj tumhara bhi result hain naa. lekin tumhe dekh kr toh lag raha hain jaise tumhe koi tension hi nhi hain.
Samar: Ab mai Sonal di ki tarah tension mein nhi jeeta. joo hoga dekh jayega. Waise bhi mere paas 1 year or bacha hain. pr Sonal di kaa toh yeh final hain.
Meera: Yeh bhi thik hain. Chalo aao nashta karlo.
fir sab nashta karne lagte hain. Thodi der baad sabka nashta khatam hojaata hain. Swati apne papa Deepak k saath office chale jaati hain.
Samar: Sonal Di chaliye aap mere saath chaliye.
Sonal: Nhi Samar tum jao. Waise bhi aaj Tuesday hain muze mandir jaana hain.
Samar: Okkk.
fir Samar or Sonal bhi alag alag nikal jaate hain.
Deepak Singh- Yeh Jaipur k ek jaane maane businessman hain. Yeh or Ashok bahot achhe mitr hain. Ashok mumbai shift hogya. pr yeh yahi rehgaye or yehi pe apna business settle kiya.
Meera Singh: Yeh ek housewife hain. Inko ghr k kaam mein hi jyaada man lagta hain. Apni bachho se bahot pyaar karti hain. Samar sabse chota hain or inka laadla hain.
Inki 2 betiyan or 1 beta hain.
Swati Singh- Inki badi beti. Padhai complete hochuki hain or apna family business hi join kiya hain. Apni behen Sonal se bahot jyaada attach hain.
Samar Singh: Inki sabse chota beta. ghr mein sabse chota hain isiliye sabka laadla hain. Bahot jyaada badmaash hain. Humesha masti mazaak karne ki aadat hain. pr hardiya(heart) kaa bahot achha hain. Apni didi Sonal koo bahot maanta hain.
Sonal Singh(Heroine)- Yeh hain is story ki heroine. Inki dusri beti. colz se aaj graduate hogi. Apni behen se jyaada khubsoorat or masoom hain. Jyaadatar apne padhai se matlab rakhti hain. Interior Designer banne kaa shock hain or usi ki padhai ki hain.
Update 2
Toh yaha Sonal ghr se mandir aati hain. Yaha woh har Tuesday aati hain.
Sonal: Bhagwaan ji. Aaj maira result hain. mene pure year bahot mehnat ki hain or aaj muze uss mehnat kaa fal milega. Please dekh lena bhagwaan ji.
Pandit: Chinta mat karo Sonal. Tum achhe number se pass hojaogi.
Sonal: Thank You Pandit ji.
fir Sonal Pandit aashirwaad or prasad leke colz k liye nikal jaati hain.
Thodi der baad woh colz aati hain toh waha Samar pahle se hi khada thaa.
Sonal: Kya huaa yaha ayese kyo khada hain. Result out nhi huaa kyaa.
Samar: Result out toh kabka hochuka hain.
Sonal: Hogyaaaaa.
Samar: Haaa.
Sonal: tumhara kyaa aaya.
Samar: muze toh distinction k upar mila hain.
Sonal: Samar k gale lagte hue. Congrats bhai. muze pata thaa tuze achhe numbers aayenge.
Samar: Thank You Di.
Sonal: Meraa dekhaa.
Samar: Haaa dekha.
Sonal: Kitna aaya.
Samar apna sir jhuka leta hain. Jisse dekh Sonal koo tension hojaati hain.
Sonal: Bata naa. Kitna mila hain. or ayese sir kyo jhuka liya.
Samar: Wohh dii. Actuallyy aap. Wohhh.
Sonal: Bol naa bhai kyoo mujhee tension de raha hain.
Samar: Wohh di actually aap Failll hogyi hain. Aapko 35% mila hain.
Sonal k liye yeh news kisi jhatke se kamm nhi thaaa. Uske aankho se aansu nikal gayee thee.
Sonal: Rote hue. Kyaaaaaaaaa. Nhii yehhh sachh nhiii haiii tu tuu mazaak kr raha haii naa.
Samar: I Am Sorry di. pr yeh sach hain.
Sonal toh jaise wahi jamm gayi thi. Usko yakeen hi nhi horaha thaa k woh faill hogyi hain. Woh bhi itni buri tarah se. Woh waha bench pe baith k rone lagti hain.
Sonal koo aisee rote dekh Samar sochta hain.
Samar(man mein): Betaa Samar lagtaa hain tumhara mazaak jyaada hogyaa.
Samar: Diii. Yeh aap kyaa kr rahii haiii.
Sonal: Toh or kyaa karuu Samar. Meri itni mehnat k baad mein mai faill hogyi or woh bhi itni buri tarah. Ab mai papa or maa koo kaisee facee karungi.
Samar: Areee diii. Aap chupp hojaiyeee. Pleaseee roiyee mattt. Aurrr aisaaa kuchh nhii huaa hain.
Sonal: Matlabbbbb.
Samar: Wohh wohh diii actuallyyy mainn mazaakk kr raha tha. Aapne pure colz meinn topp kiyaa hain.
Sonal: Kyaaaaaaaaaaa. Kyaaaa kahaa tuneee. Phirrr see bolll.
Samar: Aapne puree colz mein topp kiya hain. or woh faill wali baat mazaak thii. Yeh bol Samar waha se bhagg jaata hain.
Sonal: Samarrrrr. Aaj tujheee mainn nhiii chorungiiii. Yeh bol Sonal bhi uskee pichhe pichhe bhagnee lagti hain.
Samar: Sorry Sorry diii. Galtii hogyiii. Aage se aisaa nhii karungaaa. Sorryyy.
Sonal: Sorryy k bachhe rukhhh tuuu. Idherrr aaa. Aaj tujhee chorungii nhiii. Teriii wajahh seee merii kyaa halatt hogyii thiii. Tujhee pata haiii. Mainn kehtiii huuu rukhhh.
Thodi der bhagne k baad Sonal ne Samar koo pakad liyaa.
Sonal: Abb kaha bhagegaaa.
Samar: Sorry Sorry diii. Mujheee nhii pata tha aapko mere mazaak se itnaa shockk lagegaa.
Sonal: Shockkk. Meri kyaa sthithi(condition) hui thi yeh tuze pata nhi hain. maira pata nhi kya kya karne koo dill kr raha thaa.
Samar: Sorry Diii. Buttt I am so happy for youu. Congratss diii. Yeh bol uske gale lag jaata hain.
Sonal: Thankk youuu. muze toh abb bhi yakeen nhi horaha k mene pure colz mein top kiya hain.
Samar: Yeh sach hain didi. Chaliye jaldi se jaake marksheet or certificate lete hain. Aapka toh principal k paas se hi milega.
Sonal: Haa Chall.
fir yeh dono principal k paas aate hain.
Sonal: mai I come in Ma’am.
Principal: Yess yess Sonal come in.
Sonal: Ma’am woh maira marksheet and Certificate.
Principal: First of all congratulations Sonal. Tumne puri colz mein top kiya hain. Aisii hi apna or apne parents kaa nam roshan karti raho.
Sonal: Thank you Ma’am. muze toh ab bhi yakeen nhi horaha hain.
Principal: Yeh sab tumhare hardwork kaa fal hain. Yeh raha tumhara Marksheet Certificate or yeh tumhare liye ek gift. .
Sonal: Gift.
Principal: Haaa gift. Tumne puri colz mein top kiya hain isiliye tumhe India mein no. 1 interior designing colz mein aage padhne k liye scholorship mili hain. joo mumbai mein hain.
Sonal yeh sunn k bahot khush hojaati hain.
Sonal: Sachhh.
Principal: Yess Sonal. or yeh tumhara scholorship. Tumhe 1 hafte baad jab marzi join karna hain pr 2 weeks k andar. Once again congrats.
Sonal: Thank you so much Ma’am.
fir Sonal apna Marksheet Certificate or scholorship leke bahar aajati hain yaha Samar uska wait kr raha thi.
Sonal bahar aake Samar k gale lag jaati hain.
Samar: Kya huaa di.
Sonal: muze colz mein top karne k liye India k no. 1 interior designing colz mein aage padhne k scholorship mili hain.
Samar: Kyaaaaaa. Congratssss diiii. I am so happy for youuu.
Sonal: Thank Youuuu. pr woh mumbai mein hain. saayad maa papa nhi maanenge.
Samar: Aree mai or didi hain hum mananyenge. Aap chinta naa karee. Ab jaldi chaliye chalke maa papa di koo yeh news dete hain.
Sonal: Haaa challl.
Abhi yehlog jaa hi rahe the k tabhi ek ladka waha aata hain.
Ladka: Kyaaa baat hain bhaiii. Ab topper bangayi toh friends se milne kaa bhi wakt nhi hain. Achha hain.
Sonal: Areeee aisaa kuchhh nhii hain. Waise tumhara kyaa huaa.
Ladka: Hona kya hain. Hum toh ab tumhari tarah topper toh nhi hain. Humhe bss passing marks mil jaaye woh hi bahot hain. joo mil gyaa hain.
Sonal: Congratsss Vicky.
Vicky: Congratulations to you too. Aakhir tumne pure colz mein top kiya hain. Yeh bol Sonal koo gale milne aata hain toh Samar beech mein aajata hain.
Samar: Vicky Bhaiya. Hum bhi yaha hain. Humne bhi distinction k upar laaya hain. Humhe congratulate nhi karenge.
Samar k ayese beech mein aane se Vicky kaa muhh utar jaata hain pr woh dikhata nhi.
Vicky: Areee aisi baat nhi hain. Tumhe bhi congrats Samar.
Sonal: Achha Vicky. Abhi hum chalte hain. maa humara wait kr rahi hogi. Tum ghr aana waha baith k baat karenge. Chall Samar.
fir Samar or Sonal waha se nikal jaate hain or Vicky unhe jaata huaa dekhta rehta hain.
Vicky: Pata nhi or kitna wait karna hoga iske liye. Yeh bol Vicky bhi apna utra huaa muh leke waha se nikal jaata hain.
Vicky Khanna- Sonal kaa school and colz friend. Sonal koo school wakt se pyaar karta hain pr aaj tak bol nhi paaya. Bigada huaa ladka hain. man mein kuch chal raha hoga pr chehre mein kuch dikhega. Sonal isko koi bhav nhi deti. bss mitr hi maanti hain. Bahot baar yeh Sonal koo touch karne ki koshish karta hain pr harbaar muh ki khaata hain.
Idher Samar or Sonal ghr ki taraf jaate time.
Sonal: Thank You Samar.
Samar: Kisliyee di.
Sonal: Woh uss time Vicky k saamne achanak se aane k liye.
Samar: Come on di. Bhai hu aapka. Bhai kaa farz hota hain behen ki raksha karna. Isme kese Thank You. pr woh aapko pasand karta hain. School se jaante hain hum.
Sonal: pr muze woh pasand nhi. Har time muze chune ki firaak mein rehta hain. Usko pyaar nhi kuch or bolte hain.
Samar: Toh aapko kaisa ladka pasand hain.
Sonal: joo mere jism se nhi mere hardiya(heart) se pyaar kare. joo mujhse mere pyaar se loyal hoo. Bado koo respect kare. Choto se pyaar kare. muze respect kare. Mere pyaar koo respect kare. or sabse important muze itna pyaar kare k puri zindagi kam padh jaaye.
Samar: How Romantic Di. Toh aapki nazar mein aisa kaun hain joo maira jiju ban sake.
Sonal: Abhi tak toh aisa koi dikha nhi. pr itna pata hain joo bhi hoga bahot khash hogaa. Chal ab baate band kr or ghr chal.
fir yeh dono waha se ghr aajaate hain.